Monday, April 20, 2009

Shayad

Bachpan mein suna karte the
Log marke tare ban jate hain
Khat par chalti kahaniyon mein lagta tha
Jaise badlon ke purjon ko tah kar kisi ne aasman pat diya ho
Aur dooj ki raat mein chand kisi ke angoothe ka kata hua nakhoon maloom hota tha
Phir khatein chali gayi, byalu ki jagah Dinner ne leli
Zindagi ki daud mein raat ka aasman dekhna mumkin na raha
Kabhi dekhta hoon to chand bahut akela lagta hai
Aasman mein tare bahut kam rah gaye hain
Shaayad logo ne marna chod diya hai

1 Comments:

Blogger Megha said...

marna chod diya hai ? swine flu aa gaya hai ;)

nice poem :)

12:12 PM  

Post a Comment

<< Home